zaban-e-khalq pe aaya to ek fasana hua wo lafz saut o sada se jo aashna na hua bala-e-jaan bhi hai jaan-bakhsh bhi hai ishq-e-butan ajal ko uzr mila zist ko bahana hua teri nigah kiran thi to mera dil shabnam teri nigah se bhi dil ka moamla na hua ba-sad-khulus raha sath zindagi bhar ka muqabla bhi zamane se dostana hua suna hai bazm mein teri hai tazkira mera teri wafa ka taaruf bhi ghaebana hua hum aise kho gae aaghaz mein khabar hi nahin ki bazm uth gai kab khatm kab fasana hua har ek lamha kiya qarz zindagi ka ada kuchh apna haq bhi tha hum par wahi ada na hua