un labon ki yaad aai gul ke muskurane se zakhm-e-dil ubhar aae phir bahaar aane se jaane thi gurez un ko ya ki sharm mahfil mein raat mujh se katrae wo nazar milane se raaz jo chhupae the aaj sab pe zahir hain kuchh meri kahani se kuchh tere fasane se haal jo hamara hai sab to un pe raushan hai phir bataun kya hoga haal-e-dil sunane se un ko hum se kya matlab hum ko kya gharaz 'fayyaz' tark ishq kar baithe hum to ek zamane se