har qadam khauf hai dahshat hai riya-kari hai raushni mein bhi andheron ka safar jari hai taqat-e-kufr ne kohram macha rakkha hai jaane kis kis ko mitane ki ye tayyari hai mil ke sab qahr bapa karte hain insanon par hai junun zehn mein aur aankh mein chingari hai apne andaz se ek sath yahan par rahna ye hamari hi nahin teri bhi lachaari hai ho gharib aur amir chahe ho budha bachcha kaun hai apni jise jaan nahin pyari hai hum ne har ahd mein rakkha hai bharam tera jab tu hi ai waqt bata kya ye wafadari hai us ko duniya mein koi aankh dikha sakta hai kya 'rashk' jis qaum mein ehsas hai bedari hai