un mein jurat bhi na thi jaur-o-jafa kya karte khud fana-dida the wo hum se wafa kya karte dekhte dekhte ki naqd ada jaan-e-aziz sochte hum rahe wo qarz ada kya karte raushni dil mein thi ek husn-e-nazar se un ki zikr hum matam-e-andoh-ruba kya karte jina yaadon ke sahaare hua dushwar 'sharar' qarz hum un ki mohabbat ka ada kya karte