un se iqrar-e-wafa ki aarzu karte rahe umr-bhar ek be-zaban se guftugu karte rahe jis taraf nazren uthin ek ajnabi chehra mila aaina-khane mein apni justuju karte rahe tum se mil kar bhi raha hum ko tumhaara intizar tum ko pa kar bhi tumhaari aarzu karte rahe kaun jaane runuma hun kaun si jaanib se wo is liye sajde pe sajda chaar-su karte rahe husn ki gahraiyan taswir-dar-taswir thin aaina hum aaine ke ru-ba-ru karte rahe zindagi pabandiyon ka nam thi lekin 'raza' hum to zanjiron ko bhi zeb-e-gulu karte rahe