kis qadar masala-e-sham-o-sahar badla hai jab zara zawiya-e-fikr-o-nazar badla hai samt-e-manzil ka tayyun nahin do gam ki baat kitne mod aae hain jab tarz-e-safar badla hai apni aawaz pe hum chaunk uthe hain khud bhi ek zara lahja-e-ehsas agar badla hai dasht mein bhi kabhi is tarah na ji lagta tha ab ke diwangi badli hai ki ghar badla hai aa gaya hai rasan-o-dar ke mamul mein farq jab kabhi zabta-e-gardan-o-sar badla hai ab wo yak-rangi-e-mahaul ki talkhi to nahin hum ne mai badli na ho jam magar badla hai inqalab aaya hai is tarah bhi ghar mein akasr dar se diwar na diwar se dar badla hai