un se kaha ki sidq-e-mohabbat magar darogh

un se kaha ki sidq-e-mohabbat magar darogh
kahne lage ye sach hai ki har tarah par darogh

duzd-e-hina pe duzdi-e-jaan ka hai ittiham
khun-e-dil-o-jigar sar-e-tegh-e-nazar darogh

aana sabah-e-hashr ka sham-e-firaq jhut
ud jaana shor-e-nala se rang-e-sahar darogh

har lahza tegh jaanna abru ka iftirak
har lamha zauq-e-qatl mein sar hath par darogh

sar sang-e-dar se phodna wahshat mein na-subut
gir jaana sail-e-ashk se diwar-o-dar darogh

khun-e-jigar bajae mai-e-nab na-durust
aatish-zani-e-shola-fishan chashm-e-tar darogh

jaan aur figar-e-tir-e-mizha kis qadar ghalat
dil aur asir-e-rishta-e-mu sar-ba-sar darogh

be-jaan ho aur jite ho furqat mein ikhtiraa
be-dil ho aur niyaz-e-nigah hai jigar darogh

tukde nigah-e-naz se dil aap ka durust
wahm-e-nazar se dur hamari kamar darogh

udta hai rang sath hi aawaz-e-naz ke
chin-e-jabin se aap ko itna khatar darogh

hai na-sipas-e-wasl dil-e-hijr-e-dost khabt
hai pak-baz chashm-e-haqiqat-nigar darogh

kuche mein mere le ke saba aaegi baja
tum khak ho gae ho sar-e-rahguzar darogh

hum ko talash aap ki aur dar-ba-dar muhaal
jazb-e-dil-o-jigar se umid-e-asar darogh

hum aur nash uthane ko aate khilaf-e-aql
marg-e-shab-e-firaq ki har su khabar darogh

ye zabt-e-waza nam 'qalaq' qissa mukhtasar
shair ho har tarah hai tumhaara hunar darogh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close