yaqin ka agar koi bhi silsila nahin raha to shukr kijiye ki ab koi gila nahin raha na hijr hai na wasl hai ab is ko koi kya kahe ki phul shakh par to hai magar khila nahin raha khazana tum na pae to gharib jaise ho gae palak pe ab koi bhi moti jhilmila nahin raha badal gai hai zindagi badal gae hain log bhi khulus ka jo tha kabhi wo ab sila nahin raha jo dushmani bakhil se hui to itni khair hai ki zahr us ke pas hai magar pila nahin raha lahu mein jazb ho saka na ilm to ye haal hai koi sawal zehn ko jo de jala nahin raha