un se karam ki rakh ummid unki ata se pyar kar

un se karam ki rakh ummid un ki ata se pyar kar
ai dil-e-mubtala-e-gham gham ko bhi khush-gawar kar

husn-e-yaqin-e-ashiqi itna tu paedar kar
khud par bhi e'timad rakh un par bhi e'tibar kar

dil mein jo mere zakhm mein un ka na ab shumar kar
sina-e-dagh-dar ko aur bhi dagh-dar kar

shorish-e-agahi ke sath husn-e-shuur shart hai
zauq-e-junun-nawaz ab aur na sharmsar kar

tujh se hanuz hai nihan fikr ka ek naya jahan
azm-o-amal se zist ke husn ko aashkar kar

hasil-e-kaenat the bas wahi zindagi ke din
hum teri bargah mein aae hain jo guzar kar

sina-e-tirgi se hi phutegi ek mauj-e-nur
muntazir hayat-e-nau subh ka intizar kar

dard-e-hayat dard-e-dil dard-e-firaq dard-e-gham
ye hain mata-e-la-zawal in se 'aziz' pyar kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close