unche makan kha gae sab mere ghar ki dhup

unche makan kha gae sab mere ghar ki dhup
hisse mein mere rah gai baalisht bhar ki dhup

karta rahun nigah mila kar main guftugu
har chand chubh rahi ho tere karr-o-far ki dhup

saya darida-pairahani par khudi ka tha
resham sa lams lai thi go sim-o-zar ki dhup

zarkhezi-e-zamin-e-sukhan ke liye mufid
dil ki hawa shuur ka pani nazar ki dhup

dil ke guman sa ki dua ke yaqin sa
ehsas ke lihaf sa lai kohar ki dhup

ya to dimagh-o-dil ke andheron ko dur kar
ya apni rah le badi aai kidhar ki dhup

rahiye 'naqib' aisi faza mein ki hai jahan
sher-o-adab ki chandni ilm-o-hunar ki dhup


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close