sabhi se hum nahin khulte ki sab nahin khulte

sabhi se hum nahin khulte ki sab nahin khulte
wagarna mahfil-e-yaran mein kab nahin khulte

har ek shakhs ko husn-e-nazar nahin milta
har ek shakhs pe sher-o-adab nahin khulte

yahan pe dad ko zanjir ab nahin khinchti
yahan pe adl ko darwaze ab nahin khulte

kahin ana pe yaqinan lagi hai chot nai
purane zakhm yunhi be-sabab nahin khulte

ye daur wo nahin phir bhi sharif zadon ke
buzurg samne gar hon to lab nahin khulte

hamare aib hamein jo batae so mohsin
ki aainon pe bhi khud ke aqab nahin khulte

kabhi 'naqib' sabhi par khuli kitab koi
kabhi to hum pe bhi khud apne dhab nahin khulte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close