unhen nigah hai apne jamal hi ki taraf nazar utha ke nahin dekhte kisi ki taraf tawajjoh apni ho kya fann-e-shairi ki taraf nazar har ek ki jati hai aib hi ki taraf likha hua hai jo rona mere muqaddar mein khayal tak nahin jata kabhi hansi ki taraf tumhaara saya bhi jo log dekh lete hain wo aankh utha ke nahin dekhte pari ki taraf bala mein phansta hai dil muft jaan jati hai khuda kisi ko na le jae us gali ki taraf kabhi jo hoti hai takrar ghair se hum se to dil se hote ho dar-parda tum usi ki taraf nigah padti hai un par tamam mahfil ki wo aankh utha ke nahin dekhte kisi ki taraf nigah us but-e-khud-bin ki hai mere dil par na aaine ki taraf hai na aarsi ki taraf qubul kijiye lillah tohfa-e-dil ko nazar na kijiye is ki shikastagi ki taraf yahi nazar hai jo ab qatil-e-zamana hui yahi nazar hai ki uthti na thi kisi ki taraf gharib-khana mein lillah do-ghadi baitho bahut dinon mein tum aae ho is gali ki taraf zara si der hi ho jaegi to kya hoga ghadi ghadi na uthao nazar ghadi ki taraf jo ghar mein puchhe koi khauf kya hai kah dena chale gae the tahalte hue kisi ki taraf hazar jalwa-e-husn-e-butan ho ai 'akbar' tum apna dhyan lagae raho usi ki taraf