unhin ki shah se unhen mat karta rahta hun sitamgaron ki mudaraat karta rahta hun yahan koi nahin sunta hadis-e-dil-zadagan magar main aur tarah baat karta rahta hun bhala ye umr koi karobar-e-shauq ki hai bas ek talafi-e-mafat karta rahta hun ye kaenat mere baal-o-par ke bas ki nahin to kya karun safar-e-zat karta rahta hun yahin pe war-e-harifan uthana padta hai yahin hisab-e-musawat karta rahta hun ajab nahin kisi koshish mein kaamran ho jaun mohabbaton ki shuruat karta rahta hun hamesha kasa-e-khali chhalakta rahta hai faqir hun so karamat karta rahta hun