unki baaton ko kuchh qiyam nahin

un ki baaton ko kuchh qiyam nahin
subh kahte hain han to sham nahin

zikr-e-dushman pe kyon bigadte ho
mehrban aap ka to nam nahin

mujh ko kambakht kyon kaho har dam
meri jaan ye to mera nam nahin

barhaman hum hue musalman se
ab bhi kafir tu hoga ram nahin

dar pe hai pasban mere liye
ghair jae to rok tham nahin

ghair par khum ke khum lundhate ho
mere hisse ka koi jam nahin

mast ho kar wo shaikh ka kahna
muft ki ho to mai haram nahin

jab kaha tum adu pe marte ho
bole is mein koi kalam nahin

ghair kyon ja rahe hain maqtal ko
imtihan mera qatl-e-am nahin

bas tumhaara ghulam ho ke rahun
chahiye mujh ko aur nam nahin

mast rakhti hai chashm-e-mast us ki
mujh ko ab aarzu-e-jam nahin

hans pade zikr-e-wasl-e-dushman par
ya'ni mera khayal-e-kham nahin

eid ka din hai pi bhi le ek jam
ab to zahid mah-e-siyam nahin

teri ayyariyan samajhta hun
tujh ko aur dushmanon se kaam nahin

kam hai kab roz-e-hijr se shab-e-gham
subh is ki to us ki sham nahin

ghair hi faizyab rahta hai
mehrbani tumhaari aam nahin

ek chup si lagi hai 'nashtar' ko
jab se wo shokh ham-kalam nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close