un ki god mein sar rakh kar jab aansu aansu roya tha kuchh lamhe guzre wo lamha meri aankhon se guzra tha ai satan ke nile pardo tum par ye kis ka saya hai kya mujh ko kuchh wahm hua hai ya sach-much koi aaya tha jaise darwaza wa kar ke nikla hai koi kamre se jaise ek do lamhe guzre sofe par koi baitha tha sach sach kahna ai diwaro ai taswiro jhut na bolo aakhir hai tu us kamre mein jis ne us ka nam liya tha tum to kuchh aise bhul gae ho jaise kabhi waqif hi nahin the aur jo yunhi karna tha sahab kis liye itna pyar kiya tha aaj to sarson ka pila-pan agni bharta hai tan man mein ek samay tha jab yahi mausam khet khet pyara lagta tha ek purane git ki dhun ne guzri yaaden yaad dila din daman ko ashkon se bhigoe ek zamana bit chala tha