yun bane-sanwre hue se phul hain gulzar mein sair ko nikli hon jaise ladkiyan bazar mein ye tera husn-e-takallum ye tera husn-e-bayan tutne lagte hain aaine teri guftar mein kis ne phenka hai ye patthar zehn ke talab mein ek tufan sa bapa hai ab mere afkar mein tere chehre par nazar aate hain apne hi nuqush hai mera didar bhi shamil tere didar mein ek zamin ka chand phir hoga darichon se tulua aasman ka chand chhup jaega jab ashjar mein teri aamad aamad-e-fasl-e-bahaaran ban gai phulon se khilne lage mere dar-o-diwar mein mere sheron mein na dhal pata tera aks-e-jamil ye samundar kya simatta kuza-e-izhaar mein