un ki khwahish aur hai apni tamanna aur hai aankh se zahir hai kuchh dil ka taqaza aur hai khub hain kya khub hain ahl-e-siyasat wah wah dil mein un ke bughz hai lekin dikhawa aur hai dastaras mein apni rakhta hai wo tufan-e-hasad hum ubharte hain to wo hum ko dabaata aur hai tu ki ghaddar-e-chaman hai main wafadar-e-chaman mera maqsad aur hai tera irada aur hai dekhna hai tir lagta hai ki hota hai khata rukh kaman ka us taraf lekin nishana aur hai ehtiraman har koi sar par bithata tha hamein wo zamana aur tha ab ye zamana aur hai is tazad-e-dil-nashin ko kuchh samajhte hain hamin dil milata aur hai aankhen dikhata aur hai dekh surat ko meri hairat hai kahta hai 'habib' wo to aisa tha nahin ye koi lagta aur hai