qalil aap nahin aur hum kasir nahin huquq sab ke hain yaksan koi haqir nahin jo waqt aae to mera bhi imtihan le lo wafa-shiar hun murda mera zamir nahin pade jo waqt to faulad se bhi takrae mera wajud faqat khak ka khamir nahin mere wajud se nafrat tumhein hai kya mani bahut aham hun tumhaare liye haqir nahin bhari bahaar mein manzar khizan ka lagta hai chaman mein phul qafas mein koi asir nahin daraaz koi bhi karta nahin hai dast-e-talab hamare shahr mein shayad koi faqir nahin kahin wo apni dagar se bhatak na jae 'habib' rah-e-talab ki jamaat ka jab amir nahin