un ki mahfil mein hamesha se yahi dekha riwaj aankh se bimar karte hain tabassum se ilaj main jo roya un ki aankhon mein bhi aansu aa gae husn ki fitrat mein shamil hai mohabbat ka mizaj meri khatir khud uthate hain wo taklif-e-karam kaun rakhta warna mujh jaise gunahgaron ki laj mere hone aur na hone par hi kya mauquf hai maut par un ki hukumat zindagi par un ka raj uf wo aariz jis ke jalwon par fida mehr-e-mubin aah wo lab jin ko dete hain mah o anjum khiraj main hun 'anwar' un ki zat-e-pak ka adna ghulam hai sar-e-aqdas pe jin ke rahmat-e-yazdan ka taj