un ki nazron ka wo paiwast-e-rag-e-jaan hona dil jigar donon ka sharminda-e-ehsan hona khana-barbaadi ne kya kya na dikhae tewar aa gaya kaam mere dil ka bayaban hona honge apne bhi parae bhi meri lash ke sath kuchh kahe koi magar tum na pasheman hona 'hamid' hum bhi the kabhi bazm-e-hunar-mandon mein yaad aata hai mujhe mera ghazal-khwan hona