sochiye dekh ke KHud apne garebanon mein

sochiye dekh ke khud apne garebanon mein
kitne tabut saje rakkhe hain aiwanon mein

mahfilen roz sajate hain sajaane wale
khastagi aag laga deti hai armanon mein

hath bandhe hue dekha hai khade logon ko
shahriyat sikh rahe honge wo darbanon mein

apni nazron mein hai wo qabil-e-sad-fakhr ki jo
qissa-e-jaur-e-butan kahta ho but-khanon mein

hum ne dekhe hain gulistan mein haqaeq kya kya
kuchh hain sairab to kuchh be-sar-o-samanon mein

'hamid' ek chae ki pyali ki karamat na puchh
pi ke do ghunt pahunch jata hun mai-khanon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close