un ki nigah-e-naz ka mastana ho gaya main hosh mein kuchh aur bhi diwana ho gaya zahid ka khauf aur na kuchh mohtasib ka dar ab to mizaj-e-shaikh bhi rindana ho gaya marne ke baad khul gain sari haqiqaten jo zindagi mein raaz tha afsana ho gaya yaaden gain wo shauq wo arman lut gae aabaad tha jo dil kabhi virana ho gaya majnun ke baad puchhta tha kaun najd ko aabaad mere dam se ye virana ho gaya aulad-e-nek-bakht ki 'azam' se puchhiye jo apne ghar mein aap hi begana ho gaya