be-khabar-e-hayat tha gham ne mujhe jaga diya zist ka raaz khol kar maut ka aasra diya zulf-e-siyah ki yaad mein khauf-e-pas-e-fana kahan tul-e-shab-e-firaq ne subh ka gham mita diya maut kahin nahin hamein aur kahan nahin hai maut kis ne bana ke sakht-jaan sine mein dil bana diya talkh to tha gham-e-hayat itna na talkh tha magar puchh ke tum ne haal-e-dil zahr mujhe pila diya aa ke palat gaya koi aur na hamein khabar hui kaif-e-ummid-e-did ne sham hi se sula diya gham-kada-e-hayat mein aah main wo charagh hun subh hui jala diya sham hui bujha diya hae wo dard kya hua jis se thi zindagi meri khud hi mita nahin hai dil dil ne mujhe mita diya haif ki be-kasi ki sharm aaj 'jigar' na rah saki ujde hue mazar par kis ne diya jala diya