un ki surat nazar nahin aati shab-e-gham ki sahar nahin aati yun to gardish mein hai nazar un ki hum jidhar hain udhar nahin aati qatl bimar ko karo aa kar chaara-sazi agar nahin aati aane wali to thi magar kab tak maut ki kuchh khabar nahin aati jama hain mai-kade mein matwale kyun ghata jhum kar nahin aati kaun si wo bala hai hijr ki shab jo meri jaan par nahin aati jis ghadi ho bashar ko gham se najat wo ghadi umr bhar nahin aati aaj wo yun lade hain 'shankar' se sulh hoti nazar nahin aati