uns apne mein kahin paya na begane mein tha kya nasha hai sara aalam ek paimane mein tha aah itni kawishen ye shor-o-shar ye iztirab ek chutki khak ki do par ye parwane mein tha aap hi us ne anal-haq kah diya ilzam kya hosh kis ne le liya tha hosh diwane mein tha allah allah khak mein milte hi ye pa-e-samar lo khuda ki shan phal bhi phul bhi dane mein tha shaikh ko jo parsa kahta hai us ko kya kahun main ne apni aankh se dekha wo mai-khane mein tha 'shair'-e-nazuk-tabiat hun mera dil kat gaya saqiya lena ki shayad baal paimane mein tha