upar baadal niche parbat bich mein KHwab ghazalan ka

upar baadal niche parbat bich mein khwab ghazalan ka
dekho main ne harf jama ke nagar banaya jaanan ka

pagal panchhi baad mein chahke pahle main ne dekha tha
us jampar ki shiknon mein halka sa rang bahaaran ka

basti yunhi bich mein aai asl mein jang to mujh se thi
jab tak mere bagh na dube zor na tuta tufan ka

hum imlak-parast nahin hain par yun hai to yunhi sahi
ek tere dil mein ghar hai apna baqi mulk sulaiman ka

ranj ka apna ek jahan hai aur to jis mein kuchh bhi nahin
ya gahraw samundar ka hai ya phailaw bayaban ka

hum koi achchhe chor nahin par ek dafa to hum ne bhi
sara gahna lut liya tha aadhi raat ke mehman ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close