rukhsat-e-sham hai aur wade ka saya bhi nahin ab takalluf na karun ja ke taqaza ho jaun kab se hun mahi be aab zamane ki tarah koi neki ho tere pas to dariya ho jaun kitne pechida masail ki thakan hai mujh mein ek zara soch lun tujh ko tar-o-taza ho jaun kitne pahlu hain kai rang chhupe hain mujh mein abhi aisa hun jo tu chahe to waisa ho jaun apne sine mein hain thahri hui sansen kab se zalzala ban ke to aa main tah-o-baala ho jaun wo rifaqat pe raza-mand nahin hai to na ho kya main us shakhs ke hote hue tanha ho jaun be-yaqini hai kuchh imroz mein itni 'mazhar' ji mein aata hai ki andesha-e-farda ho jaun