uruj mera hai jo ki duniya samajh rahi hai zawal mera khatak raha hai nigah-e-hasid mein khar ban kar kamal mera katen to kyon kar katen bhala na-murad din zindagi ke aakhir na kuchh khabar mujh ko aap apni na aap ko kuchh khayal mera kahin na aansu bahae shabnam kahin na kaliyan hon chaak daman tujhe qasam raunaq-e-chaman ki saba na kah un se haal mera main partaw-e-nur-e-lam-yazal hun fana-nawaz-e-azal ka dar kya kamal-e-sanea ka nuqs hoga agar hua bhi zawal mera gunahgaron ki awwalin saf se chashm-e-rahmat ne mujh ko chhanta hazar sajdon se badh ke kaam aaya jazba-e-infial mera kise khabar hai ki ho ada farz-e-bandagi phir bhi mujh se 'qaisar' zaban-e-shukr-o-sipas bhi ban gaya agar baal baal mera