zist ki zulfen pareshan hain to suljhaega kaun hashr ka maidan hai duniya kis ke kaam aaega kaun jaan bachti hai kisi ki jhut se to thik hai ek zara si baat par jhuti qasam khaega kaun rahnumaon ko bhi bhatka dete hon jo rah-rau is qadar bhatke huon ko rah par laega kaun qahr jab nazil hua udne lage zalim ke hosh zo'm tha nadan ko us par sitam dhaega kaun kahte hain ki khuld mil jaegi taqwe se magar ye haqiqat talkh-tar hai is ko apnaega kaun jalwa-e-jaananan to maujud hai makhfi magar hazrat-e-musa nahin hain tur par jaega kaun