uryan hi rahe lash gharib-ul-watani mein

uryan hi rahe lash gharib-ul-watani mein
dhabbe mere isyan ke na aaen kafani mein

iqrar pe bhi meri tabiat nahin jamti
wo lutf mila hai teri paiman-shikani mein

dil tut ke judta nahin shisha ho to jud jae
hai farq yahi sokhtani sakhtani mein

hasrat hai meri aap ki taswir nahin hai
ek chiz hai rakh li hai chhupa kar kafani mein

hum bhi kabhi pariyon mein raha karte the 'shair'
kya dekhte ho hum ko gharib-ul-watani mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close