kisi gali kisi chhat par zarur niklega

kisi gali kisi chhat par zarur niklega
wo chand abr se bahar zarur niklega

ye hukmarani-e-shab der tak nahin hogi
kahin se mehr-e-munawwar zarur niklega

isi girani-e-shab ki dabiz chadar se
numud-e-subh ka manzar zarur niklega

khud apne aap se ladni padegi jang hamein
dilon se khauf ka lashkar zarur niklega

ye shahr-e-shishagaran hai to phir yahin pe kahin
kisi ki jeb se patthar zarur niklega

ghubar-e-dil-zadagan ko bahut haqir na jaan
ye ek hashr utha kar zarur niklega

use khayal-e-dil-e-dostan agar aaya
to aansuon ka samundar zarur niklega

kuredte raho viran bastiyon ki ye rakh
yahin kahin pe mera ghar zarur niklega

khamoshiyon ki isi sar-zamin se 'ashfaq'
koi na koi sukhnawar zarur niklega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close