us aankh se wahshat ki tasir utha laya main jagte rahne ki tadbir utha laya main niyat-e-shab-khun se kheme mein gaya lekin dushman ke sirhane se shamshir utha laya wo subh-e-rihai thi ya sham-e-asiri thi jab main dar-e-zindan se zanjir utha laya aawara-mizaji par harf aane se pahle hi dil tere taghaful ki taswir utha laya ai khwab-e-pazirai tu kyun meri aankhon mein andesha-e-duniya ki tabir utha laya wo sang-e-malamat tha jis ko tera dil kah kar us kuche se mujh jaisa rah-gir utha laya us shakhs se main sab ko ujlat mein mila baitha aur apne liye kaisi takhir utha laya maidan-e-shikayat se kya apne siwa lata ek ranj tha main jis ki tamir utha laya us bazm-e-sukhan mein hum kya pahunche ki shor uttha lo 'azm' koi zakhmi tahrir utha laya