kya jaane kitne hi rangon mein dubi hai rang badalti duniya mein jo yak-rangi hai manzar manzar dhalta jata hai pila-pan chehra chehra sabz udasi phail rahi hai pili sansen bhuri aankhen surkh nigahen unnabi ehsas tabiat tarikhi hai dekh gulabi sannaton mein rahne wale aawazon ki khamoshi kitni kali hai aaj safedi bhi kala malbus pahan kar apni chamakti rangat ka matam karti hai sari khabron mein jaise ek zahr bhara hai aaj akhbaron ki har surkhi nili hai 'kaif' kahan tak tum khud ko be-dagh rakhkhoge ab to sari duniya ke munh par syahi hai