us atlasi qaba ke hi tasme ka dard hai wo husn be-baha tha mera rang zard hai gachi padi udas hai takhti ke aas pas poche sukhae kaun ki mahaul sard hai dariya mein bar bar dubota hun apna munh tujh raushni ke lobh mein chehre pe gard hai ulta bana raha hun main kaghaz pe aks ko sidha wahi dikhaega jo asl mard hai har lafz ka maqam hai 'rashid' ghazal ke ghar har sher khandan ka ba-raub fard hai