us bewafa ke ru-ba-ru fariyaad kya karen ab dil ke is makan ko aabaad kya karen zero likha hua hai muqaddar mein jab mere aise mein mere jam ke aadad kya karen kadwe phalon ko shauq se hans hans ke kha liya sahra ke mezban ko nashad kya karen pahle hi hadsat se be-khanuman hai dil ab aur teri yaad se barbaad kya karen shahron mein rozgar ki khatir to aa gaya ghaaron mein tere daur ke ham-zad kya karen un hi se mere qalb mein rahti hai tazgi 'masud' khwahishat ko aazad kya karen