us but-e-kafir ko un ka dhyan kya hai kuchh nahin

us but-e-kafir ko un ka dhyan kya hai kuchh nahin
din kya hai kuchh nahin iman kya hai kuchh nahin

nazr karne ke liye saman kya hai kuchh nahin
jaan hai ab aur meri jaan kya hai kuchh nahin

khak se paida hua ye khak mein mil jaega
khak-dan-e-dahr mein insan kya hai kuchh nahin

chahta hun main ki chahen aap bhi dil se mujhe
hai yahi arman aur arman kya hai kuchh nahin

har ghadi zulm-o-sitam har dam wahi qahr-o-itab
aap ke nazdik meri jaan kya hai kuchh nahin

main faqir-e-be-gharaz hun be-gharaz ke waste
nafa kya hai kuchh nahin nuqsan kya hai kuchh nahin

marne wale lutne wale mitne wale ke liye
jaan kya hai aan kya hai shan kya hai kuchh nahin

tegh ne gardan juda ki maut ne li jaan-e-zar
mere sar par aap ka ehsan kya hai kuchh nahin

jab kaho qurban kar dun jab kaho kar dun nisar
ye zara sa dil zara si jaan kya hai kuchh nahin

kya kaha hum ko bahut kuchh gham-zadon ka dhyan hai
tum ko apne gham-zadon ka dhyan kya hai kuchh nahin

har hasin par us ko marna aur use gham jhelna
dil salamat hai to meri jaan kya hai kuchh nahin

sar patakne ko faqat do-chaar patthar rakh liye
aur mere ghar mein ab saman kya hai kuchh nahin

khair jo zulm-o-sitam karne the wo tum ne kiye
pichhli baaton ka hamein ab dhyan kya hai kuchh nahin

main ye un se kyun kahun tum aashiqon ki jaan ho
jaanta hun aashiqon ki jaan kya hai kuchh nahin

ho gai gharqab duniya bhar gaya sara jahan
ab to kahiye 'nuh' ka tufan kya hai kuchh nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close