us but ka intizar kabhi hai kabhi nahin dil apna be-qarar kabhi hai kabhi nahin iqrar bhi hai wade se inkar bhi use zalim ka eatibar kabhi hai kabhi nahin nafrat hai waise gar tujhe inkar hi sahi ye kya ki khwast-gar kabhi hai kabhi nahin itraen dil mein aap na aaina dekh kar ye mausam-e-bahaar kabhi hai kabhi nahin raghbat bhi hai sharab se nafrat bhi hai mujhe ye chiz nagawar kabhi hai kabhi nahin ye haal ho gaya hai ki us ke firaq mein aankh apni ashk-bar kabhi hai kabhi nahin ek roz mere pas hai ek roz un ke pas dil ka bhi eatibar kabhi hai kabhi nahin ai 'ranj' kya bataun ilaj is ka kya karun dil ko mere qarar kabhi hai kabhi nahin