tera aashiq mere siwa hai kaun be-wafa mujh sa ba-wafa hai kaun khair main aap ka nahin koi kahiye to ghair aap ka hai kaun sun ke logon se zikr-e-khair mera bole kya jaane wo bala hai kaun mujh se ulfat thi tujh ko tujh se mujhe dekh sabit qadam raha hai kaun meri tarif sun ke kahte hain aisa ye shakhs ya khuda hai kaun gar wo den apne hath se saghar lun main ye kah ke parsa hai kaun jab kaha main ne koi hai aashiq sun ke kahne lage wo kya hai kaun main na chahun tujhe to chahun kise tujh sa dildar dilruba hai kaun gar nahin tu to ye bata mujh ko shokh ayyar pur-jafa hai kaun kis ko marne ka ghair ke gham hai raat-din is mein mubtala hai kaun dard-e-dil gar na main kahun tujh se dard-mandon ki phir dawa hai kaun khush-mizaji mein waza-dari mein 'ranj' sa aur dusra hai kaun