us but se mil kar is dil-e-nadan ko kya hua kyun aah-o-zari hai lab-e-khandan ko kya hua diwane apna chaak-e-gareban to si chuke ab tak na aai fasl-e-bahaaran ko kya hua donon-jahan hain muntazir-e-roz-e-hashr phir us shokh chashm-e-fitna-e-dauran ko kya hua phulon mein koi bu hai na kaliyon mein tazgi ai andalib rang-e-gulistan ko kya hua dil mein wahi khalish hai wahi iztirab hai chaaragaron ke dawa-e-darman ko kya hua dil puchhta hai aaj bhi wo rashk-e-nau-bahaar aaya na us ke wada-o-paiman ko kya hua karte ho aaj kufr ki baaten jagah jagah 'afat' tumhaare din ko iman ko kya hua