us chand ko tum dil mein chhupa kyun nahin lete is pyas ki shiddat ko bujha kyun nahin lete gar pyar ki aatish mein sulagne mein maza hai phir ishq mein tum khud ko jala kyun nahin lete ye lasha-e-jaan aaega ab kaun uthane is bojh ko kandhon pe utha kyun nahin lete is shahr mein hain lakh tabibon ki dokanen bimar hai gar dil to dawa kyun nahin lete hai dil mein 'riyaz' apne chhupi dard-kahani ro-dho ke zamane ko suna kyun nahin lete