us gul-badan ka raaz bahaaron se puchhiye phulon se puchhiye ki nazaron se puchhiye har dam yaqin khuda pe hi rakhiye tamam umr ahwal-e-zist apna na taron se puchhiye kasa-ba-dast kitne hain shahron mein ganw mein ghurbat ki lambi lambi qataron se puchhiye lab kholne mein hota hai ruswaiyon ka dar jo kuchh bhi puchhna hai ishaaron se puchhiye aaega kab kisi ko yaqin meri baat par meri haqiqaten mere yaron se puchhiye 'sahir' na un se puchhiye jin ko nahin hai qadr kya shai hai man ye man ke dularon se puchhiye