us husn ka shaida hun us husn ka diwana har gul hai jahan bulbul har shama hai parwana patthar paden donon par kaba ho ki but-khana donon se kahin achchha diwane ka parwana kahta hai ana laila kaisa hai ye diwana nibhne ka nahin do din ab qais se yarana kaba ho kalisa ho dil ho ki sanam-khana jalwa ho jahan tera aabaad wo kashana chhota sa mera dil hai tuta sa mera dil hai surat mein to paimana wusat mein hai mai-khana dil se hai lagi ye lo ek zarra barabar zau pad jae tera partaw ai jalwa-e-jaanana begana yagana hai dil aaina-khana hai kabe ka ye kaba hai but-khane ka but-khana hai josh-e-junun par wo ai ishq-e-khirad-agah farzana hai diwana diwana hai farzana farhad bhi majnun bhi lete hain qadam mere aisa bhi na ho koi is ishq mein diwana yaad aai bahut hum ko tuti hui tauba bhi dekha jo kahin hum ne tuta hua paimana shishe ki pari tujh mein kya husn ka aalam hai saqi na ho phir bhi to ye ghar hai pari-khana de koi sakhi data mai-khana bada ghar hai aata hai sada deta shab ko koi mastana bahke hue logon mein sab se hain 'riyaz' achchhe raftar hai mastana guftar hai rindana