samajh mein zindagi aae kahan se padhi hai ye ibarat darmiyan se yahan jo hai tanaffus hi mein gum hai parinde ud rahe hain shakh-e-jaan se makan-o-la-makan ke bich kya hai juda jis se makan hai la-makan se daricha baz hai yaadon ka aur main hawa sunta hun main pedon ki zaban se tha ab tak marka bahar ka darpesh abhi to ghar bhi jaana hai yahan se zamana tha wo dil ki zindagi ka teri furqat ke din laun kahan se fulan se thi ghazal behtar fulan ki fulan ke zakhm achchhe the fulan se