us husn ke nam pe yaad aae sab manzar faiz ki nazmon ke

us husn ke nam pe yaad aae sab manzar 'faiz' ki nazmon ke
wahi rang-e-hina wahi band-e-qaba wahi phul khile pairahan mein

kuchh wo jinhen hum se nisbat thi un kuchon mein aan aabaad hue
kuchh arsh pe tare kahlae kuchh phul bane ja gulshan mein

hum logon ke aane se pahle bhi tum log udhar se guzarte the
kabhi phul bhi dekhe ghurfon mein kabhi qaus-e-quzah kisi chilman mein

yun karne ko ishq pe qaid nahin sab karte hain achchha karte hain
par hum se bahut bhi nahin guzre kuchh log the misr-o-madyan mein

hum un se jo mil kar dur hue kuchh khush hue kuchh ranjur hue
ab dil ka thikana mushkil hai han jaan rahegi aiman mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close