are o be-murawwat tu kahan hai tadapta hijr mein ye na-tawan hai mariz-e-ishq ki tu le khabar jald ki wo ab koi dam ka mehman hai buton mein sang-dil hai kaun tujh sa teri sangin-dili sab par ayan hai ye sun kar haal mera hans ke bola ayaadat ki mujhe fursat kahan hai buton ko narm-dil dekha hai kis ne suno sangin-dili wasf-e-butan hai na aaya zindagani mein jo wo shokh ki marta hun dam-e-naza rawan hai to phir wo aa chuka meri lahad par yahi jab haal-e-daur-e-asman hai fana hai ghair-e-haq ko 'ajiz'-e-zar baqa wasf-e-khuda-e-do-jahan hai