us jaisa yahan koi bhi fankar nahin hai qatil hai magar hath mein talwar nahin hai uthunga magar subh to hone de muazzin sone ke liye nind bhi darkar nahin hai yun hai ki faqat dekh ke hoti hai tasalli mamuli koi naqsh ya diwar nahin hai dard-e-dil-e-majruh koi samjhe to kaise is shahr mein mujh sa koi bimar nahin hai hathon mein liye hath guzarte rahe hum do phir ja ke hua ilm mujhe pyar nahin hai taswir teri aankh milati rahi din bhar par hath milane ko ye tayyar nahin hai