dasht-e-ummid mein khwabon ka safar karna tha tu ki ek lamha-e-napaid basar karna tha hum ne kyun aapsi azdad ke nukte dhunde? hum ne to khud ko baham shir-o-shakar karna tha naqsh banta hi nahin sang-e-samaat pe koi kund alfaz ko phir tir-o-tabar karna tha saat-e-dard ki be-chehra o be-nam rahi qatra-e-ashk ki mahfuz guhar karna tha tishnagi mahi-e-be-ab si likh honton par warna yun bosa-e-saghar se hazar karna tha mujh pe aayat na koi lafz hi utra 'ahmad' meri mushkil ki bayan mujh ko safar karna tha