us jangal se jab guzroge to ek shiwala aaega

us jangal se jab guzroge to ek shiwala aaega
wahan ruk jaana wahan rah jaana wahan sukh ka ujala aaega

ye soch ke uthna har din tum is dil ka phul khilega zarur
is aas pe sona ab ki shab koi khwab nirala aaega

jab us ke hath naya mazi is safha-e-arz pe likkhenge
jab sahar o sham raqam honge tab mera hawala aaega

is be-andesha sahra mein is unghne wali ummat par
kab jagne wala utrega kab sochne wala aaega

phir ruhen zakhmi zakhmi hain phir kodh se dukhne aae badan
yun lagta hai ki shafaat ko phir koi gwala aaega

ai rah-e-sukhan ke rah-rawo dil-shad raho is rah mein bhi
khushbu ki sawari thahregi rangon ka piyala aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close