phir ek tir sambhaala us ne mujh pe nazar dali aakhiri neki thi tarkash mein wo bhi kar dali thahro yahin ai qafile walo aaya dasht-e-bala us ne ye kah ke apne sar par khak-e-safar dali aur koi duniya hai teri jis ki khoj karun zehn mein phir ek samt bikheri rahguzar dali hath hawa ke badhne lage hain basti ke atraf dekho us ne chingari ab kis ke ghar dali chashm-e-falak ka ek aansu hai gardish karti zamin kya pesh aaya jo us ne bina-e-dida-e-tar dali waqt se puchho waqt se sachcha shahid koi nahin kis ne tegh uthai ran mein kis ne sipar dali main to bas gauhar se khali ek sadaf hun 'ramz' mushkil hogi us ne koi baat agar dali