us ka khayal khwab ke dar se nikal gaya phir main bhi apne dida-e-tar se nikal gaya palken bhi bah gain khas-o-khashak ki tarah main apne sahilon ke asar se nikal gaya tanhai se thi meri mulaqat aakhiri roya aur is ke baad main ghar se nikal gaya jab sham-e-intizar utha li munder se dast-e-hawa bhi halqa-e-dar se nikal gaya raste mein aankh thi sag-e-mamur ki tarah dil mein jo chor tha wo kidhar se nikal gaya ab le le mujh ko apni hatheli ki ot mein mera sitara burj-e-safar se nikal gaya mere hi sath ghar mein nazar-band tha to phir tera khayal kaun se dar se nikal gaya